Sab Neamaten Hain Shahr Mein Insan Hi Nahin

sab neamaten hain shahr mein insan hi nahin

kuchh yun ki jaise ye koi nuqsan hi nahin

ek aayat-e-wajud hun miTTi ke Dher mein

mere nuzul ki to koi shan hi nahin

kabina-e-wujud ka main bhi hun ek wazir

aisa ki mera koi qalam-dan hi nahin

ye jang ab kahan ho badan mein ki ruh mein

goya ki ishq ka koi maidan hi nahin

dast-e-junun bhi tang hua dasht-e-ishq mein

ab chaak kya karun ki gareban hi nahin

hairan hun apne qatl ka ilzam kis ko dun

tauhid mein to shirk ka imkan hi nahin

'ehsas' ne buton mein KHuda ko kiya sharik

is shirk ke baghair to iman hi nahin

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Neamaten Hain Shahr Mein Insan Hi Nahin In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Sab Neamaten Hain Shahr Mein Insan Hi Nahin is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Sab Neamaten Hain Shahr Mein Insan Hi Nahin for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Sab Neamaten Hain Shahr Mein Insan Hi Nahin in PDF.