Sahib-e-ishq Ab Itni Si To Rahat Mujhe De

sahib-e-ishq ab itni si to rahat mujhe de

ghar bana ya dar-o-diwar se ruKHsat mujhe de

jaan ye sarkashi-e-jism tere bas ki nahin

meri aaghosh mein aa la ye musibat mujhe de

to faraham na ho mujh ko ye hai marzi teri

tujh ko jab chahun bula lun ye ijazat mujhe de

ye teri bazm-e-badan yun to nahin chal sakti

ek shab ko hi sahi is ki nizamat mujhe de

aaine! main tera aaina-dar-aina hun

aaj tak ka mera sarmaya-e-hairat mujhe de

na milega tujhe mujh sa bhi tahi-dast murid

mere hisse ki jo ho daulat-e-baiat mujhe de

jaane kab hoga meri zat pe aap-apna nuzul

KHwab koi to kabhi meri bashaarat mujhe de

mere bhi ek ishaare mein ho mani ka hujum

aankh us ki jo kabhi dars-e-balaghat mujhe de

'farhat-ullah' ke khate mein na Dal aaine

'farhat-ehsas' hun main la meri surat mujhe de

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahib-e-ishq Ab Itni Si To Rahat Mujhe De In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Sahib-e-ishq Ab Itni Si To Rahat Mujhe De is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Sahib-e-ishq Ab Itni Si To Rahat Mujhe De for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Sahib-e-ishq Ab Itni Si To Rahat Mujhe De in PDF.