Tanhai Ke Aab-e-rawan Ke Sahil Par BaiTha Hun Main

tanhai ke aab-e-rawan ke sahil par baiTha hun main

lahren aati jati rahti hain dekha karta hun main

kaun sa lafz ada hone ka pas-manzar hai mera wajud

kis ka haul hai mere dil mein kaisa sannaTa hun main

hijr o visal charagh hain donon tanhai ke taqon mein

akasr donon gul rahte hain aur jala karta hun main

KHali dar-o-diwar ki KHushbu pagal rakhti hai mujh ko

jaane kahan wo phul khila hai jis ka man-jaya hun main

sab ye sochte hain 'farhat-ehsas' tamasha hai koi

main ye sochta rahta hun kis miTTi ka putla hun main

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tanhai Ke Aab-e-rawan Ke Sahil Par BaiTha Hun Main In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Tanhai Ke Aab-e-rawan Ke Sahil Par BaiTha Hun Main is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Tanhai Ke Aab-e-rawan Ke Sahil Par BaiTha Hun Main for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Tanhai Ke Aab-e-rawan Ke Sahil Par BaiTha Hun Main in PDF.