Tere Suraj Ko Teri Sham Se Pahchante Hain

tere suraj ko teri sham se pahchante hain

zindagi hum tujhe anjam se pahchante hain

kis qadar dhup kamata hai yahan koi ise

raunaq-e-mashghala-e-sham se pahchante hain

ishq wale to uThate hi nahin apni nigah

husn ko husn ke ahkaam se pahchante hain

KHas andaz se KHat likhta hai wo parda-nashin

hum use nudrat-e-paigham se pahchante hain

kaun karta hai pas-e-parda-e-aina kalam

aks ko hairat-e-ilham se pahchante hain

saKHt taklif uThai hai use jaanne mein

is liye ab use aaram se pahchante hain

sach phaTe haal sa phirta hai gali-kuchon mein

sach ko aksar isi anjam se pahchante hain

main ne tardid to bheji thi pa shae na hui

ahl-e-shahr ab mujhe ilzam se pahchante hain

kaise naqqad hain ye itni baDi shairi ko

bas riayat se iham se pahchante hain

'farhat-ehsas' kabhi ghar se nikalta hi nahin

shahr wale use bas nam se pahchante hain

(1133) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Suraj Ko Teri Sham Se Pahchante Hain In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Tere Suraj Ko Teri Sham Se Pahchante Hain is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Tere Suraj Ko Teri Sham Se Pahchante Hain for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Tere Suraj Ko Teri Sham Se Pahchante Hain in PDF.