Thokaren Kha Ke Sambhalna Nahin Aata Hai Mujhe

Thokaren kha ke sambhalna nahin aata hai mujhe

chal mere sath ki chalna nahin aata hai mujhe

apni aankhon se baha de koi mere aansu

apni aankhon se nikalna nahin aata hai mujhe

ab teri garmi-e-aghosh hi tadbir kare

mom ho kar bhi pighalna nahin aata hai mujhe

sham kar deta hai aksar koi zulfon wala

warna wo din hun ki Dhalna nahin aata hai mujhe

kitne dil toD chuka hun isi be-hunari se

jal mein phans ke nikalna nahin aata hai mujhe

beach dariya ke main dariya to badal sakta hun

apni kashti ko badalna nahin aata hai mujhe

apne mani ko badalna to mujhe aata hai

in ke lafzon ko badalna nahin aata hai mujhe

'farhat-ehsas' taraqqi nahin karni mujh ko

itni raftar se chalna nahin aata hai mujhe

(1477) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thokaren Kha Ke Sambhalna Nahin Aata Hai Mujhe In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Thokaren Kha Ke Sambhalna Nahin Aata Hai Mujhe is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Thokaren Kha Ke Sambhalna Nahin Aata Hai Mujhe for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Thokaren Kha Ke Sambhalna Nahin Aata Hai Mujhe in PDF.