Tum Kuchh Bhi Karo Hosh Mein Aane Ke Nahin Hum

tum kuchh bhi karo hosh mein aane ke nahin hum

hain ishq gharane ke zamane ke nahin hum

hum aur mohabbat ke siwa kuchh nahin karte

wo ruTh gaya hai to manane ke nahin hum

dariya hai mohabbat to mile jism ka maidan

ek jism pyale mein samane ke nahin hum

hum par bhi kabhi apni halakat ki nazar Dal

sach jaan ki jaan apni bachane ke nahin hum

kitna hi kare shor yahan aa ke zamana

tujh par se magar dhyan haTane ke nahin hum

ye jism faqat ek taraf ka hai musafir

ja kar phir usi jism mein aane ke nahin hum

pas aao ki hum kha to nahin jaenge tum ko

bas dant dikhane ke hain khane ke nahin hum

'ehsas'-miyan pir hain murshid hain hamare

ab uTh ke yahan se kahin jaane ke nahin hum

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Kuchh Bhi Karo Hosh Mein Aane Ke Nahin Hum In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Tum Kuchh Bhi Karo Hosh Mein Aane Ke Nahin Hum is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Tum Kuchh Bhi Karo Hosh Mein Aane Ke Nahin Hum for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Tum Kuchh Bhi Karo Hosh Mein Aane Ke Nahin Hum in PDF.