Umr Be-wajh Guzare Bhi Nahin Ja Sakte

umr be-wajh guzare bhi nahin ja sakte

itne zinda hain ki mare bhi nahin ja sakte

haal ab ye hai ki dariya mein bhi lagta nahin ji

aur kisi ek kinare bhi nahin ja sakte

us jagah ja ke wo baiTha hai bhari mahfil mein

ab jahan mere ishaare bhi nahin ja sakte

zeb-tan itne kiye dil ne hawas ke malbus

ki shab-e-wasl utare bhi nahin ja sakte

nind se us ko jagana bhi zaruri hai bahut

raat-bhar us ko pukare bhi nahin ja sakte

sari shaklon se pare hai wo hamara mahbub

so tasawwur ke sahaare bhi nahin ja sakte

jitne ka na koi shauq na taufiq hamein

lekin is tarah to haare bhi nahin ja sakte

falak-e-ishq pe ta-der Thaharna hai muhaal

is bulandi se utare bhi nahin ja sakte

farhat-ehsas tujhe mana hai jaana us tak

kya tere KHun ke dhaare bhi nahin ja sakte

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Be-wajh Guzare Bhi Nahin Ja Sakte In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Umr Be-wajh Guzare Bhi Nahin Ja Sakte is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Umr Be-wajh Guzare Bhi Nahin Ja Sakte for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Umr Be-wajh Guzare Bhi Nahin Ja Sakte in PDF.