Ye Bagh Zinda Rahe Ye Bahaar Zinda Rahe

ye bagh zinda rahe ye bahaar zinda rahe

main mar bhi jaun to kya mera yar zinda rahe

qadim raste ru-posh hote jate hain

so tera kucha teri rahguzar zinda rahe

hamesha saz bajati rahe yun hi teri zulf

aur us ke saz ka ek ek tar zinda rahe

ye KHak zinda unhi aansuon ke dam se hai

har ek dida-e-ansu-shiar zinda rahe

farar ruh hui sara naqd-e-jaan le kar

hum apne jism se le kar udhaar zinda rahe

main tere ghar yun hi be-qaid aata jata rahun

teri nazar mein mera eatibar zinda rahe

hazar shukriya 'ehsas-ji' un aankhon ka

hum un ke tir ka ho kar shikar zinda rahe

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Bagh Zinda Rahe Ye Bahaar Zinda Rahe In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Ye Bagh Zinda Rahe Ye Bahaar Zinda Rahe is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Ye Bagh Zinda Rahe Ye Bahaar Zinda Rahe for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Ye Bagh Zinda Rahe Ye Bahaar Zinda Rahe in PDF.