Duniya Ko Kahan Tak Jaana Hai

duniya ko kahan tak jaana hai

ye kitna baDa afsana hai

sab kan lagae baiThe hain

aur raat sarakti jati hai

ye raat kahan tak jaani hai

kuchh is ka or-o-chhor nahin

ye raat samundar hai jis mein

aawaz bahut hai rone ki

bas dur tilak tariki hai

kuchh dur zara si raushaniyan

phir tariki phir raushaniyan

ye raat bala ki maya hai

jo kuchh ka kuchh kar deti hai

aankhon ko jagati hai barson

phir nind ka dhakka deti hai

phir KHwab dikhati hai barson

phir KHwabon se chaunkati hai

ye khel bhayanak raaton ka

insan ki nannhi zaton ka

KHush hona aur dahal jaana

phir aansu aansu gal jaana

is khel mein jo bhi haar gaya

phir muTThi se sansar gaya

is khel mein phansna hai pyare

bas hath mein jitni miTTi hai

us miTTi se sansar bana

use apne aansu ka pani

use apne hijr ki garmi de

use mausam mausam narmi de

ise apne ang laga pyare

use apne rang laga pyare

duniya ko kahan tak jaana hai

ye kitna baDa afsana hai

ye bhed na koi jaan saka

is bhed ka chakkar bhaari hai

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Ko Kahan Tak Jaana Hai In English By Famous Poet Farhat Ehsas. Duniya Ko Kahan Tak Jaana Hai is written by Farhat Ehsas. Read famous Poem Duniya Ko Kahan Tak Jaana Hai for youth and Student by Farhat Ehsas. Free Download Duniya Ko Kahan Tak Jaana Hai in PDF.