Kuchh To Wufur-e-shauq Mein Bais-e-imtiyaz Ho

kuchh to wufur-e-shauq mein bais-e-imtiyaz ho

meri nazar ke samne un ki harim-e-naz ho

soz-e-durun-o-ah-e-dil ishq mein donon ek hain

hum ko to ek surur hai soz ho ya ki saz ho

wo dil nazara-kosh tera ye zauq-e-be-KHudi

jalwe ki tab ho na ho un ki harim-e-naz ho

naz hai shauq-e-afrin shauq hai shorish-e-dimagh

husn hai aarzu-pasand ishq junun-nawaz ho

zauq-e-talab ko ishq ne turfa sabaq ye de diya

nala-e-dil-KHarash ban aah-e-jigar-gudaz ho

dil ki taDap mein ai KHuda kuchh to ho zauq-e-afiyat

dard wo de jo ishq mein bais-e-imtiyaz ho

'farhat'-e-arzu-pasand dars-e-niyaz-e-ishq ne

kucha-e-marifat mein aa shefta majaz ho

(937) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh To Wufur-e-shauq Mein Bais-e-imtiyaz Ho In English By Famous Poet Farhat Kanpuri. Kuchh To Wufur-e-shauq Mein Bais-e-imtiyaz Ho is written by Farhat Kanpuri. Read famous Poem Kuchh To Wufur-e-shauq Mein Bais-e-imtiyaz Ho for youth and Student by Farhat Kanpuri. Free Download Kuchh To Wufur-e-shauq Mein Bais-e-imtiyaz Ho in PDF.