Munh-bola Bol Jagat Ka Hai Jo Man Mein Rahe So Apna Hai

munh-bola bol jagat ka hai jo man mein rahe so apna hai

ye dil ka miTha miTha dard bhi gunge ka sa sapna hai

ya ruKH ko hawa ke pher de tu ya ruKH pe hawa ke bahta chal

sansar khapa le apne mein sansar mein warna khapna hai

marna hi nahin ye jina hai ye prem ki jwala hai jis mein

chandi ki tarah se galna hai sone ki tarah se tapna hai

is maya-jal se bach kar chal har ek qadam par phanda hai

sansar ki maya dhoka hai sansar ki maya sapna hai

ab dil ki taDap mein jiwan hai jiwan mein taDap hai bijli ki

ab dil ko sada hi dhDakna hai 'farhat' ko sada hi taDapna hai

(639) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Munh-bola Bol Jagat Ka Hai Jo Man Mein Rahe So Apna Hai In English By Famous Poet Farhat Kanpuri. Munh-bola Bol Jagat Ka Hai Jo Man Mein Rahe So Apna Hai is written by Farhat Kanpuri. Read famous Poem Munh-bola Bol Jagat Ka Hai Jo Man Mein Rahe So Apna Hai for youth and Student by Farhat Kanpuri. Free Download Munh-bola Bol Jagat Ka Hai Jo Man Mein Rahe So Apna Hai in PDF.