Ai Katib-e-taqdir Ye Taqdir Mein Likh De

ai katib-e-taqdir ye taqdir mein likh de

bas us ki mohabbat meri jagir mein likh de

de aisa junun jaisa diya qais ko tu ne

mujh ko bhi isi halqa-e-zanjir mein likh de

pane ka use KHwab jo dekha hai hamesha

wo KHwab hi bas KHwab ki tabir mein likh de

dil aisa makan hai jo agar TuT gaya to

lag jaengi sadiyan nai tamir mein likh de

milna hai agar KHud se to phir der na karna

kho jaane ka Dar hota hai taKHir mein likh de

sachchai mera jurm hai aur kar-e-wafa bhi

munsif hai to ye bhi meri tazir mein likh de

likh de ki main 'ghaalib' ka muqallid hun ghazal mein

phir nam mera mo'taqid-e-'mir' mein likh de

(1245) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Katib-e-taqdir Ye Taqdir Mein Likh De In English By Famous Poet Farhat Nadeem Humayun. Ai Katib-e-taqdir Ye Taqdir Mein Likh De is written by Farhat Nadeem Humayun. Read famous Poem Ai Katib-e-taqdir Ye Taqdir Mein Likh De for youth and Student by Farhat Nadeem Humayun. Free Download Ai Katib-e-taqdir Ye Taqdir Mein Likh De in PDF.