Haal Mein Jine Ki Tadbir Bhi Ho Sakti Hai

haal mein jine ki tadbir bhi ho sakti hai

zindagi mazi ki taswir bhi ho sakti hai

aas mein us ki na har kaam adhura chhoDo

us ke aane mein to taKHir bhi ho sakti hai

mera har KHwab to bas KHwab hi jaisa nikla

kya kisi KHwab ki tabir bhi ho sakti hai

dil to mera tha magar ye mujhe malum na tha

ye kisi aur ki jagir bhi ho sakti hai

zindagi jalne lagi aatish-e-tanhai mein

jurm-e-ulfat ki ye tazir bhi ho sakti hai

dil ko barbaad nahin karna ki is mein phir se

KHwahishon ki nai tamir bhi ho sakti hai

thak gaya hun main hikayat-e-junun likh likh kar

ye meri aaKHiri tahrir bhi ho sakti hai

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haal Mein Jine Ki Tadbir Bhi Ho Sakti Hai In English By Famous Poet Farhat Nadeem Humayun. Haal Mein Jine Ki Tadbir Bhi Ho Sakti Hai is written by Farhat Nadeem Humayun. Read famous Poem Haal Mein Jine Ki Tadbir Bhi Ho Sakti Hai for youth and Student by Farhat Nadeem Humayun. Free Download Haal Mein Jine Ki Tadbir Bhi Ho Sakti Hai in PDF.