Na Daulat Ki Talab Thi Aur Na Daulat Chahiye Hai
na daulat ki talab thi aur na daulat chahiye hai
mohabbat chahiye thi bas mohabbat chahiye hai
saha jata nahin hum se gham-e-hijr-e-musalsal
zara si der ko teri rifaqat chahiye hai
tera didar ho aankhen kisi bhi samt dekhen
so har chehre mein ab teri shabahat chahiye hai
kiya hai tu ne jab tark-e-talluq ka irada
hamein bhi faisla karne ki mohlat chahiye hai
ye kyun kahte ho rah-e-ishq par chalna hai hum ko
kaho ki zindagi se ab faraghat chahiye hai
nahin hoti hai rah-e-ishq mein aasan manzil
safar mein bhi to sadiyon ki masafat chahiye hai
gham-e-jaanan ke bhi kuchh der to hum naz uTha len
gham-e-dauran se thoDe din ki ruKHsat chahiye hai
har ek apni zarurat ke tahat hum se hai milta
hamein bhi ab koi hasb-e-zarurat chahiye hai
hai jab se munakis chehra badalne ka wo manzar
hamari aaina-ankhon ko hairat chahiye hai
jo niklen aalam-e-wahshat se phir kuchh aur sochen
KHirad se rabte rakhne ko fursat chahiye hai
(827) Peoples Rate This