Tha Pahla Safar Uski Rifaqat Bhi Nai Thi

tha pahla safar us ki rifaqat bhi nai thi

raste bhi kaThin aur masafat bhi nai thi

dil tha ki kisi taur bhi qabu mein nahin tha

rah rah ke dhaDakne ki alamat bhi nai thi

jab us ne kaha tha ki mujhe ishq hai tum se

aankhon mein jo aai thi wo hairat bhi nai thi

sadiyon ke talluq ka guman hone laga tha

jab ki meri us shaKHs se nisbat bhi nai thi

waqif bhi nahin tha main kisi sud-o-ziyan se

us ishq ke saude mein shirakat bhi nai thi

KHwabon ke bikhar jaane ka dhaDka bhi laga tha

be-dari-e-shab ki mujhe aadat bhi nai thi

tabir kahan DhunDne jatin meri aankhen

un ko to kisi KHwab ki zahmat bhi nai thi

dil waqif-e-adab-e-mohabbat bhi nahin tha

duniya ke riwajon se baghawat bhi nai thi

phir main ki kisi nashe ka aadi bhi nahin tha

aur mere liye wasl ki lazzat bhi nai thi

yun kar-e-junun karna KHirad-mandon mein rah kar

jo Dali thi tum ne wo riwayat bhi nai thi

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Pahla Safar Uski Rifaqat Bhi Nai Thi In English By Famous Poet Farhat Nadeem Humayun. Tha Pahla Safar Uski Rifaqat Bhi Nai Thi is written by Farhat Nadeem Humayun. Read famous Poem Tha Pahla Safar Uski Rifaqat Bhi Nai Thi for youth and Student by Farhat Nadeem Humayun. Free Download Tha Pahla Safar Uski Rifaqat Bhi Nai Thi in PDF.