Ye Furqaton Mein Lamha-e-visal Kaise Aa Gaya

ye furqaton mein lamha-e-visal kaise aa gaya

mohabbaton mein phir naya ubaal kaise aa gaya

jise jahan ke mashghalon mein apna hosh bhi na tha

achanak aaj use mera KHayal kaise aa gaya

abhi talak to mere sare zaKHm the hare-bhare

yakayak un ko kar-e-indimal kaise aa gaya

judai ka bas ek pal giran tha zindagi pe jab

to darmiyan bahr-e-mah-o-sal kaise aa gaya

abhi talak thin waqt ki tanaben us ke hath mein

adam faraghaton ka phir sawal kaise aa gaya

mere zara se dard par taDap thi jis ki didani

use sitamgari ka ye kamal kaise aa gaya

'nadim' apni chahaton pe naz tha tumhein bahut

to phir tumhaare ishq par zawal kaise aa gaya

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Furqaton Mein Lamha-e-visal Kaise Aa Gaya In English By Famous Poet Farhat Nadeem Humayun. Ye Furqaton Mein Lamha-e-visal Kaise Aa Gaya is written by Farhat Nadeem Humayun. Read famous Poem Ye Furqaton Mein Lamha-e-visal Kaise Aa Gaya for youth and Student by Farhat Nadeem Humayun. Free Download Ye Furqaton Mein Lamha-e-visal Kaise Aa Gaya in PDF.