Raaton Ke Andheron Mein Ye Log Ajab Nikle

raaton ke andheron mein ye log ajab nikle

sab nam-o-nasab wale be-nam-o-nasab nikle

tamir-pasandi ne kuchh zist par uksaya

kuchh maut ke saman bhi jine ka sab nikle

ye nur ke saudagar KHud nur se aari hain

gardun pe mah-o-anjum tanwir-talab nikle

ye dasht ye sahra sab viran hain barson se

is samt bhi diwana takbir ba-lab nikle

tahzib ki bebaki aisi to na thi pahle

hum jab bhi kahin nikle ta-hadd-e-adab nikle

taskin ke liye hum ne jin se bhi guzarish ki

hum se bhi ziyaada wo taskin-talab nikle

hasti ki masafat mein apna jinhen samjha tha

jab waqt paDa 'farhat' wo mohr-ba-lab nikle

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaton Ke Andheron Mein Ye Log Ajab Nikle In English By Famous Poet Farhat Qadri. Raaton Ke Andheron Mein Ye Log Ajab Nikle is written by Farhat Qadri. Read famous Poem Raaton Ke Andheron Mein Ye Log Ajab Nikle for youth and Student by Farhat Qadri. Free Download Raaton Ke Andheron Mein Ye Log Ajab Nikle in PDF.