Raaz Ubal PaDe AaKHir Aasman Ke Sinon Se

raaz ubal paDe aaKHir aasman ke sinon se

rabt is zamin ko hai aur bhi zaminon se

kaun sa jahan hai ye kaise log hain is mein

uThta hai dhuan har dam dil ke aabginon se

har bashar hai fariyaadi har taraf andhera hai

mehr-o-mah nahin nikle shahr mein mahinon se

ek taraf zabanon par dosti ke nare hain

ek taraf Tapakta hai KHun aastinon se

muflison ki basti mein wusaten hain duniya ki

aap utar ke dekhen to apni shah-nashinon se

na-KHuda ki himmat ka imtihan leti hai

warna kad nahin kuchh bhi mauj ki safinon se

tajrabon ki duniya mein ahl-e-ilm-o-hikmat ko

rifaten milin 'farhat' fikr-o-fan ke zinon se

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaz Ubal PaDe AaKHir Aasman Ke Sinon Se In English By Famous Poet Farhat Qadri. Raaz Ubal PaDe AaKHir Aasman Ke Sinon Se is written by Farhat Qadri. Read famous Poem Raaz Ubal PaDe AaKHir Aasman Ke Sinon Se for youth and Student by Farhat Qadri. Free Download Raaz Ubal PaDe AaKHir Aasman Ke Sinon Se in PDF.