Tha Pa-shikasta Aankh Magar Dekhti To Thi

tha pa-shikasta aankh magar dekhti to thi

mana wo be-amal tha magar aagahi to thi

ilzam-e-narasi se mubarra nahin thi sip

lekin kisi ke shauq mein Dubi hui to thi

mana wo dasht-e-shauq mein pyasa hi mar gaya

ek jhil justuju ki pas-e-tishnagi to thi

ehsas par muhit the lafzon ke daere

lafzon ke daeron mein magar zindagi to thi

viran tha sehn-e-bagh magar is qadar na tha

kone mein sukhe patton ki mahfil jami to thi

gham dur kar ke aur bhi mafluj kar diya

tanhaiyon ki raat mein dil-bastagi to thi

is ThanDi raat mein to andhere ka raj hai

suraj jala raha tha magar raushni to thi

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Pa-shikasta Aankh Magar Dekhti To Thi In English By Famous Poet Farhat Qadri. Tha Pa-shikasta Aankh Magar Dekhti To Thi is written by Farhat Qadri. Read famous Poem Tha Pa-shikasta Aankh Magar Dekhti To Thi for youth and Student by Farhat Qadri. Free Download Tha Pa-shikasta Aankh Magar Dekhti To Thi in PDF.