Saut Kya Shai Hai KHamushi Kya Hai

saut kya shai hai KHamushi kya hai

gham kise kahte hain KHushi kya hai

aaj hun kal yahan nahin hunga

mujh se jaanan ye be-ruKHi kya hai

des pardes ho gaya ab to

aashna kaun ajnabi kya hai

zindagi tere wasl ki KHwahish

mil gaya tu to zindagi kya hai

aur gar tu bichhaD gaya mujh se

phir meri jaan maut bhi kya hai

ek pal bhi sukun nahin milta

tujh se mil kar ye be-kali kya hai

tarz-e-mausam pe baat chal nikli

warna mazi ka zikr hi kya hai

dosti jo nibha nahin sakte

un se 'shahzad' dushmani kya hai

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saut Kya Shai Hai KHamushi Kya Hai In English By Famous Poet Farhat Shahzad. Saut Kya Shai Hai KHamushi Kya Hai is written by Farhat Shahzad. Read famous Poem Saut Kya Shai Hai KHamushi Kya Hai for youth and Student by Farhat Shahzad. Free Download Saut Kya Shai Hai KHamushi Kya Hai in PDF.