Sham Kahti Hai Koi Baat Juda Si Likkhun

sham kahti hai koi baat juda si likkhun

dil ka israr hai phir us ki udasi likkhun

aaj zaKHmon ko mohabbat ki ata ke badle

tohfa o tamgha-e-ahbab-shanasi likkhun

sath ho tum bhi mere sath hai tanhai bhi

kaun se dil se kise wajh-e-udasi likkhun

jis ne dil manga nahin chhin liya hai mujh se

aap mein aaun to wo aankh haya si likkhun

mujh pe ho jae teri chashm-e-karam gar pal bhar

phir main ye donon jahan baat zara si likkhun

dauDti hai jo mere KHun mein teri hasrat

dekh aaina use KHun ki pyasi likkhun

tujh se kyun dur hai majbur hai 'shahzad' tera

paDh sake tu to main sachchai zara si likkhun

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham Kahti Hai Koi Baat Juda Si Likkhun In English By Famous Poet Farhat Shahzad. Sham Kahti Hai Koi Baat Juda Si Likkhun is written by Farhat Shahzad. Read famous Poem Sham Kahti Hai Koi Baat Juda Si Likkhun for youth and Student by Farhat Shahzad. Free Download Sham Kahti Hai Koi Baat Juda Si Likkhun in PDF.