Ye Zamin KHwab Hai Aasman KHwab Hai

ye zamin KHwab hai aasman KHwab hai

ek makan hi nahin la-makan KHwab hai

jaan-lewa sahi justuju ki thakan

par sahaara diye ek jawan KHwab hai

us ki aankhon mein apnaiyat ki chamak

meri aankhon ka ek be-aman KHwab hai

TuT jae to kuchh bhi nahin koi bhi

jis ke dam se hain donon jahan KHwab hai

chilchilati hui waqt ki dhup mein

sath ek saya-e-mehrban KHwab hai

tu sarab-e-hasin main fareb-e-nazar

pyar tera meri jaan-e-jaan KHwab hai

shadi-e-be-panah ka sabab hai magar

wajh-e-ah-o-fughan bhi miyan KHwab hai

zindagi ke kaThin jangalon mein mera

har qadam rahbar pasban KHwab hai

jaan-e-'shahzad' tanhaiyan hain aTal

aur baqi ka ye karwan KHwab hai

(1166) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Zamin KHwab Hai Aasman KHwab Hai In English By Famous Poet Farhat Shahzad. Ye Zamin KHwab Hai Aasman KHwab Hai is written by Farhat Shahzad. Read famous Poem Ye Zamin KHwab Hai Aasman KHwab Hai for youth and Student by Farhat Shahzad. Free Download Ye Zamin KHwab Hai Aasman KHwab Hai in PDF.