Lakh Rahe Shahron Mein Phir Bhi Andar Se Dehati The

lakh rahe shahron mein phir bhi andar se dehati the

dil ke achchhe log the lekin thoDe se jazbaati the

ab bhi akasr KHwab mein un ke dhundle chehre aate hain

meri guDiya ki shadi mein jo nanhe baraati the

apne gird lakiren khinchin aur phir in mein qaid hue

is duniya mein jitne khel the sare hi tabqati the

jhonpaDiyon mein rahne wale un ki fitrat jaan gae

kabhi kabhi chaDh aane wale nale jo barsati the

jis baadal ne sukh barsaya jis chhanw mein prit mili

aankhen khol ke dekha to wo sab mausam lamhati the

jin ko baDa mana tha main ne 'farhat' wo kyun bhul gae

kuchh goshe mere jiwan ke bilkul mere zati the

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lakh Rahe Shahron Mein Phir Bhi Andar Se Dehati The In English By Famous Poet Farhat Zahid. Lakh Rahe Shahron Mein Phir Bhi Andar Se Dehati The is written by Farhat Zahid. Read famous Poem Lakh Rahe Shahron Mein Phir Bhi Andar Se Dehati The for youth and Student by Farhat Zahid. Free Download Lakh Rahe Shahron Mein Phir Bhi Andar Se Dehati The in PDF.