Dekhe Koi Jo Chaak-e-gareban Ke Par Bhi

dekhe koi jo chaak-e-gareban ke par bhi

aaina-e-KHizan mein hai aks-e-bahaar bhi

ab har-nafas hai bhigi sadaon ki ek fasil

mauj-e-hawas thi gardish-e-lail-o-nahaar bhi

kya shorish-e-junun hai zara kam nahin hua

qurbat ke bawajud tera intizar bhi

kitni aqidaton ke jigar chaak ho gae

kya sehr tha shuur-e-nazar ka KHumar bhi

jo arsh-o-farsh par kabhi aaya nahin nazar

dekha hai us ko hum ne sar-e-rahguzar bhi

wo shor-e-husn tha dam-e-nazzara-e-jamal

hum sun sake na apne badan ki pukar bhi

'farigh' KHayal-e-yar se main ham-subu raha

guzri hai mai-kade mein shab-e-intizar bhi

(1136) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhe Koi Jo Chaak-e-gareban Ke Par Bhi In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Dekhe Koi Jo Chaak-e-gareban Ke Par Bhi is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Dekhe Koi Jo Chaak-e-gareban Ke Par Bhi for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Dekhe Koi Jo Chaak-e-gareban Ke Par Bhi in PDF.