Dil Ke Ghao Jab Aaankhon Mein Aate Hain

dil ke ghao jab aaankhon mein aate hain

kitne hi zaKHmon ke shahr basate hain

karb ki ha-ha-kar liye jismon mein hum

jangal jangal sahra sahra jate hain

do dariya bhi jab aapas mein milte hain

donon apni apni pyas bujhate hain

sochon ko lafzon ki saza dene wale

sapnon ke sachche hone se ghabraate hain

dard ka zinda rahna pyas ka moajaza hai

diwane hi ye ban-bas kamate hain

tariKHon mein guzre mazi ki surat

ahl-e-junun ke naqsh-e-pa mil jate hain

dukh sukh bhi karta hai sar bhi phoDta hai

diwaron se farigh ke sau nate hain

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Ghao Jab Aaankhon Mein Aate Hain In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Dil Ke Ghao Jab Aaankhon Mein Aate Hain is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Dil Ke Ghao Jab Aaankhon Mein Aate Hain for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Dil Ke Ghao Jab Aaankhon Mein Aate Hain in PDF.