Do GhaDi BaiThe The Zulf-e-ambarin Ki Chhanw Mein

do ghaDi baiThe the zulf-e-ambarin ki chhanw mein

chubh gaya kanTa dil-e-hasrat-zada ke panw mein

kam nahin hain jab ki shahron mein bhi kuchh viraniyan

kis tawaqqo par koi jaega ab sahraon mein

kachchi kaliyan pakki faslen sar chhupaengi kahan

aag shahron ki lapak kar aa rahi hai ganw mein

zaKHm-e-nazzara hain jismon ki barhana Tahniyan

aise patjhaD mein khilenge phul kya aashaon mein

kya kahun tul-e-shab-e-gham pal mein sadiyan Dhal gain

waqt yun guzra ki jaise aable hon panw mein

zindagi mein aisi kuchh tughyaniyan aati rahin

bah gain hain umr bhar ki nekiyan dariyaon mein

jalte mausam mein koi farigh nazar aata nahin

Dubta jata hai har ek peD apni chhanw mein

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Do GhaDi BaiThe The Zulf-e-ambarin Ki Chhanw Mein In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Do GhaDi BaiThe The Zulf-e-ambarin Ki Chhanw Mein is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Do GhaDi BaiThe The Zulf-e-ambarin Ki Chhanw Mein for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Do GhaDi BaiThe The Zulf-e-ambarin Ki Chhanw Mein in PDF.