Hamein Saliqa Na Aaya Jahan Mein Jine Ka

hamein saliqa na aaya jahan mein jine ka

kabhi kiya na koi kaam bhi qarine ka

tumhaare sath hi us ko bhi Dub jaana hai

ye jaanta hai musafir tere safine ka

kuchh us ka sath nibhana muhaal tha yun bhi

hamara apna tha andaz ek jine ka

saKHawaton ne gohar-saz kar diya hai unhen

koi sadaf nahin mohtaj aabgine ka

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Saliqa Na Aaya Jahan Mein Jine Ka In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Hamein Saliqa Na Aaya Jahan Mein Jine Ka is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Hamein Saliqa Na Aaya Jahan Mein Jine Ka for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Hamein Saliqa Na Aaya Jahan Mein Jine Ka in PDF.