Izhaar-e-aqidat Mein Kahan Tak Nikal Aae

izhaar-e-aqidat mein kahan tak nikal aae

hum ahl-e-yaqin wahm-o-guman tak nikal aae

shadab bahaaron ke tamannai kahan hain

mausam ke qadam zaKHm-e-KHizan tak nikal aae

ye kaisa alam hai ki gareban ho salamat

aur aankhon se KHun bhi rag-e-jaan tak nikal aae

kab niklegi diwanon ki baraat gharon se

sinon mein baghawat ke nishan tak nikal aae

maqtal mein bahattar bhi nahin nikle hain ab ke

dargahon mein sab pir-o-jawan tak nikal aae

ab to na karo rah-numaon ki shikayat

aKHbaron mein ab un ke bayan tak nikal aae

ab kaun sar-e-dar nazar aaega 'farigh'

jab ahl-e-junun sud-o-ziyan tak nikal aae

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Izhaar-e-aqidat Mein Kahan Tak Nikal Aae In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Izhaar-e-aqidat Mein Kahan Tak Nikal Aae is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Izhaar-e-aqidat Mein Kahan Tak Nikal Aae for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Izhaar-e-aqidat Mein Kahan Tak Nikal Aae in PDF.