Nashshe Mein Jo Hai Kohna Sharabon Se Ziyaada

nashshe mein jo hai kohna sharabon se ziyaada

us jism ki KHushbu hai gulabon se ziyaada

ek qatra-e-shabnam ko taraste hain gulistan

ye fasl to mumsik hai sarabon se ziyaada

paDhna hai to insan ko paDhne ka hunar sikh

har chehre pe likkha hai kitabon se ziyaada

pahuncha hun wahin par ki chala tha main jahan se

hasti ka safar bhi nahin KHwabon se ziyaada

ye bikhri hui zindagi yakja nahin hoti

kam hone pe bhi hum hain KHarabon se ziyaada

'farigh' kabhi ghaTti hi nahin dard ki daulat

hoti hai hamesha ye hisabon se ziyaada

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nashshe Mein Jo Hai Kohna Sharabon Se Ziyaada In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Nashshe Mein Jo Hai Kohna Sharabon Se Ziyaada is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Nashshe Mein Jo Hai Kohna Sharabon Se Ziyaada for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Nashshe Mein Jo Hai Kohna Sharabon Se Ziyaada in PDF.