Wo Raushni Hai Kahan Jis Ke Baad Saya Nahin

wo raushni hai kahan jis ke baad saya nahin

kisi ne aaj talak ye suragh paya nahin

kahan se laun wo dil jo tera bura chahe

udu-e-jaan tera dukh bhi koi paraya nahin

teri sabahat-e-sad-rang mein bikhar jaun

abhi wo lamha meri zindagi mein aaya nahin

tere wajud pe angDai ban ke TuTa hai

wo naghma jo kisi mutrib ne gungunaya nahin

nai-naweli zaminon ki sondhi KHushbu mein

wo chandni hai ki jis mein koi nahaya nahin

hum ek fikr ke paikar hain ek KHayal ke phul

tera wajud nahin hai to mera saya nahin

wo bab jis mein tawanaiyon ki KHushbu hai

fasana-saz ne 'farigh' kabhi sunaya nahin

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Raushni Hai Kahan Jis Ke Baad Saya Nahin In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Wo Raushni Hai Kahan Jis Ke Baad Saya Nahin is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Wo Raushni Hai Kahan Jis Ke Baad Saya Nahin for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Wo Raushni Hai Kahan Jis Ke Baad Saya Nahin in PDF.