Wo Roz-o-shab Bhi Nahin Hai Wo Rang-o-bu Bhi Nahin

wo roz-o-shab bhi nahin hai wo rang-o-bu bhi nahin

wo bazm-e-jam-o-subu bhi nahin wo tu bhi nahin

na dil dhaDakte hain mil kar na aankhen jhukti hain

lahu ki gardishen ab misl-e-abju bhi nahin

kabhi kabhi ki mulaqat thi so wo bhi gai

teri nigah ka rang-e-bahana-ju bhi nahin

kab aaftab Dhale aur chandni chhiTke

kisi ko ab ye sar-e-sham justuju bhi nahin

bas ab to yaad se hi zindagi ibarat hai

kahan ka wada ki milne ki aarzu bhi nahin

ki jaise bhige paron se uDanen chhin jaen

dilon ki sozish-e-be-nam ku-ba-ku bhi nahin

wo jis ki garmi qayamat uTha rahi thi kabhi

usi badan ka jo kaTo to ab lahu bhi nahin

lagi hai tis baras se hamare KHun ki jhaDi

magar abhi shajar-e-dar surKH-ru bhi nahin

main sochta hun jien bhi to kis liye 'farigh'

ki ab to shahr mein pahli si aabru bhi nahin

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Roz-o-shab Bhi Nahin Hai Wo Rang-o-bu Bhi Nahin In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Wo Roz-o-shab Bhi Nahin Hai Wo Rang-o-bu Bhi Nahin is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Wo Roz-o-shab Bhi Nahin Hai Wo Rang-o-bu Bhi Nahin for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Wo Roz-o-shab Bhi Nahin Hai Wo Rang-o-bu Bhi Nahin in PDF.