Kyun Diya Tha? Bata! Meri Viraniyon Mein Sahaara Mujhe

kyun diya tha? bata! meri viraniyon mein sahaara mujhe

main udasi ke malbe tale dafn thi, kyun nikala mujhe

aisi nazuk thi ghar ke parindon se bhi KHauf khati thi main

ye kahan, kin darindon ke jangal mein phenka hai tanha mujhe

KHwab TuTe the aur kirchiyan ab bhi aankhon mein paiwast hain

ab ye kis munh se phir KHwab ki anjuman ne pukara mujhe

aaTh tak to ye ginti bhi aasan thi tu ne paDh li, so ab

calculator pakaD aur suna! apna nau ka pahaDa mujhe

yar tha tu kabhi, teri nazmen hamesha salamat rahen

dagh dene ko phir ye rida chahiye to batana mujhe

bas yunhi dard ka abr sheron ki barish mein Dhalta gaya

warisan-e-suKHan! koi tamgha nahin hai kamana mujhe

koi aisa tariqa bata teri aawaz ko chum lun

uff ye tera fariha! meri jaan kah kar bulana mujhe

(1210) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Diya Tha? Bata! Meri Viraniyon Mein Sahaara Mujhe In English By Famous Poet Fariha Naqvi. Kyun Diya Tha? Bata! Meri Viraniyon Mein Sahaara Mujhe is written by Fariha Naqvi. Read famous Poem Kyun Diya Tha? Bata! Meri Viraniyon Mein Sahaara Mujhe for youth and Student by Fariha Naqvi. Free Download Kyun Diya Tha? Bata! Meri Viraniyon Mein Sahaara Mujhe in PDF.