Tumhein Pane Ki Haisiyyat Nahin Hai

tumhein pane ki haisiyyat nahin hai

magar khone ki bhi himmat nahin hai

bahut socha bahut socha hai main ne

judai ke siwa surat nahin hai

tumhein roka to ja sakta hai lekin

mere aasab mein quwwat nahin hai

mere ashko mere be-kar ashko!!

tumhaari ab use hajat nahin hai

abhi tum ghar se bahar mat nikalna

tumhaari hosh ki haalat nahin hai

dua kya dun bhala jate hue main

tumhein takne se hi fursat nahin hai

mohabbat kam na hogi yaad rakhna!!

ye baDhti hai, ki ye daulat nahin hai

zamane ab tere madd-e-muqabil

koi kamzor si aurat nahin hai

(1121) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhein Pane Ki Haisiyyat Nahin Hai In English By Famous Poet Fariha Naqvi. Tumhein Pane Ki Haisiyyat Nahin Hai is written by Fariha Naqvi. Read famous Poem Tumhein Pane Ki Haisiyyat Nahin Hai for youth and Student by Fariha Naqvi. Free Download Tumhein Pane Ki Haisiyyat Nahin Hai in PDF.