Machalti Hai Mere Sine Mein Teri Aarzu Kya Kya

machalti hai mere sine mein teri aarzu kya kya

liye phirti hai teri chah mujh ko ku-ba-ku kya kya

rahi hai baad-e-murdan bhi tumhaari justuju kya kya

ghubar-e-KHak-e-marqad uD raha hai chaar-su kya kya

kabhi aashiq ko samjhaya kabhi ghairon ko bahlaya

fareb-amez hain chaalen teri o hila-ju kya kya

rihai di mujhe qaid-e-alaiq se inayat ki

kisi ki tegh ka mamnun hai mera gulu kya kya

bahaaren luTta hun aap ke tashrif lane mein

phala-phula hai mera aaj naKHl-e-arzu kya kya

tumhein bhi yaad hain kuchh qaul-o-iqrar-o-qasam apne

hui thi darmiyan mere tumhaare guftugu kya kya

KHayal-e-hijr se haalat taghayyur hoti jati hai

uDa jata hai mere dil se rang-e-arzu kya kya

tumhaare waste sun lete hain har ek ki baaten

hamein kah jate hain baaton hi baaton mein adu kya kya

adu ki minnaten ki hain qadam chume hain darban ke

'farogh' be-sar-o-saman hua be-abru kya kya

(612) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Machalti Hai Mere Sine Mein Teri Aarzu Kya Kya In English By Famous Poet Farogh Haiderabdi. Machalti Hai Mere Sine Mein Teri Aarzu Kya Kya is written by Farogh Haiderabdi. Read famous Poem Machalti Hai Mere Sine Mein Teri Aarzu Kya Kya for youth and Student by Farogh Haiderabdi. Free Download Machalti Hai Mere Sine Mein Teri Aarzu Kya Kya in PDF.