Jab Bhi Mila Wo TuT Ke Humse Mila To Hai

jab bhi mila wo TuT ke hum se mila to hai

zahir hai is KHulus mein kuchh muddaa to hai

us ko naya mizaj naya zehn chahiye

bachcha zaban chalata nahin sochta to hai

kya munsifi hai aap ki KHud dekh lijiye

insaf-e-shahr shahr-e-tamasha bana to hai

dhabbe lahu ke hum ko bata denge rasta

shayad kisi ke panw mein kanTa chubha to hai

manzil ki justuju mein akele nahin hain hum

hamrah to nahin hai tera naqsh-e-pa to hai

go amn ho gaya hai wahan qatl-o-KHun ke baad

darwaza sazishon ka abhi tak khula to hai

tahzib ke libaade mein sab be-libas hain

'anjum' tere badan pe darida qaba to hai

(1151) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Mila Wo TuT Ke Humse Mila To Hai In English By Famous Poet Farooq Anjum. Jab Bhi Mila Wo TuT Ke Humse Mila To Hai is written by Farooq Anjum. Read famous Poem Jab Bhi Mila Wo TuT Ke Humse Mila To Hai for youth and Student by Farooq Anjum. Free Download Jab Bhi Mila Wo TuT Ke Humse Mila To Hai in PDF.