Jang Mein Jaega Ab Mera Hi Sar Jaan Gaya

jang mein jaega ab mera hi sar jaan gaya

aur hoga na koi sina-sipar jaan gaya

mujh shanawar ko Dubo sakte nahin donon harif

main bhi tufan ka dariya ka hunar jaan gaya

unchi parwaz ki himmat bhi to kar le kargas

lakh shahin ka andaz-e-safar jaan gaya

aaj talwar hui jati hain shaKHen us ki

jang honi hai hawaon se shajar jaan gaya

is ke aangan mein bhi miTTi ke siwa kuchh bhi nahin

chand ke ghar mein jo pahuncha to bashar jaan gaya

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jang Mein Jaega Ab Mera Hi Sar Jaan Gaya In English By Famous Poet Farooq Anjum. Jang Mein Jaega Ab Mera Hi Sar Jaan Gaya is written by Farooq Anjum. Read famous Poem Jang Mein Jaega Ab Mera Hi Sar Jaan Gaya for youth and Student by Farooq Anjum. Free Download Jang Mein Jaega Ab Mera Hi Sar Jaan Gaya in PDF.