Jo BaiTho Sochne Har ZaKHm-e-dil Kasakta Hai

jo baiTho sochne har zaKHm-e-dil kasakta hai

ghazal kaho to qalam se lahu Tapakta hai

main ab bhi rota hun mahrumiyon pe bachpan ki

khilaune dekh ke dil aaj bhi humakta hai

faza mein KHauf-e-hawa bolne nahin deta

zamin pe aa ke parinda bahut chahakta hai

tumhaara lahja to dariya hai bahte pani ka

ye aag ban ke samundar mein kyun bhaDakta hai

dil-o-dimagh ke sab tar bajne lagte hain

naqab chehra-e-fitrat se jab sarakta hai

amir-e-shahr banaya gaya hai jis din se

hamare ghaw sitamgar bahut namakta hai

chamakne lagte hain 'anjum' tumhaari yaadon ke

wo aasman pe jab raushni chhiDakta hai

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo BaiTho Sochne Har ZaKHm-e-dil Kasakta Hai In English By Famous Poet Farooq Anjum. Jo BaiTho Sochne Har ZaKHm-e-dil Kasakta Hai is written by Farooq Anjum. Read famous Poem Jo BaiTho Sochne Har ZaKHm-e-dil Kasakta Hai for youth and Student by Farooq Anjum. Free Download Jo BaiTho Sochne Har ZaKHm-e-dil Kasakta Hai in PDF.