Khaali Nahin Hai Koi Yahan Par Azab Se

KHali nahin hai koi yahan par azab se

duniya se mil ke dekh le apne hisab se

us din andheri galiyon mein hoga tulu-e-din

jis roz dhup chhinoge tum aaftab se

pi lun zara si aag taKHayyul unDel kar

kuchh dhup chhanna hai ghazal ke naqab se

KHushbu ne teri rang-e-kasafat uDa diya

rahat mili hawa ko zara is azab se

dil toDne ka khel nahin tum pe hi tamam

hum bhi chukaenge ye udhaari hisab se

insan se daur-e-nau ne murawwat bhi chhin li

barish ne sar-waraq bhi utara kitab se

dil ka shajar hara tha to patjhaD ka gham na tha

ujDa hai dil to kaun bachae azab se

(1168) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khaali Nahin Hai Koi Yahan Par Azab Se In English By Famous Poet Farooq Anjum. Khaali Nahin Hai Koi Yahan Par Azab Se is written by Farooq Anjum. Read famous Poem Khaali Nahin Hai Koi Yahan Par Azab Se for youth and Student by Farooq Anjum. Free Download Khaali Nahin Hai Koi Yahan Par Azab Se in PDF.