Parinde Khet Mein Ab Tak PaDaw Dale Hain

parinde khet mein ab tak paDaw Dale hain

shikari aaj tamasha dikhane wale hain

hawaen tez hain aandhi ne par nikale hain

bahut udas patangen uDane wale hain

kamand phenk na dena zamin ki wusat par

nae jazire samundar ne phir uchhaale hain

chalo ke dekh len 'ghaalib' ke ghar ki diwaren

nai ruton ne bayaban mein Dere Dale hain

gali gali mein chamakti hai dard ki KHushbu

hamare zaKHm mahakte hue ujale hain

ab apne aap se milne ki justuju kya ho

tumhaare shahr ke sab aaine to kale hain

jo log waqai munsif-mizaj hain 'anjum'

suna hai aaj wo chehre badalne wale hain

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parinde Khet Mein Ab Tak PaDaw Dale Hain In English By Famous Poet Farooq Anjum. Parinde Khet Mein Ab Tak PaDaw Dale Hain is written by Farooq Anjum. Read famous Poem Parinde Khet Mein Ab Tak PaDaw Dale Hain for youth and Student by Farooq Anjum. Free Download Parinde Khet Mein Ab Tak PaDaw Dale Hain in PDF.