Shahar Ki Fasilon Par ZaKHm Jagmagaenge

shahar ki fasilon par zaKHm jagmagaenge

ye charagh-e-manzil hain rasta bataenge

peD hum mohabbat ke dasht mein lagaenge

be-makan parindon ko dhup se bachaenge

zahr jab bhi ugloge dosti ke parde mein

pattharon ke lahje mein hum bhi gungunaenge

jangalon ki jharnon ki kaghzi ye taswiren

ghar ke band kamron mein kab talak sajaenge

KHun ban ke rag rag mein dudh man ka bahta hai

qarz ye bhi wajib hai kaise hum chukaenge

thak ke lauT jaengi aandhiyan siyasat ki

jin ki lau rahe qaem wo diye jalaenge

ye jhuki jhuki palken mat uThaiye sahab

jhil jaisi aankhon mein log Dub jaenge

(1002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahar Ki Fasilon Par ZaKHm Jagmagaenge In English By Famous Poet Farooq Anjum. Shahar Ki Fasilon Par ZaKHm Jagmagaenge is written by Farooq Anjum. Read famous Poem Shahar Ki Fasilon Par ZaKHm Jagmagaenge for youth and Student by Farooq Anjum. Free Download Shahar Ki Fasilon Par ZaKHm Jagmagaenge in PDF.