Jali Hain Dard Ki ShaMein Magar Andhera Hai

jali hain dard ki shamen magar andhera hai

kahan ho kuchh to kaho dil bahut akela hai

ye kaisa zahr fazaon mein bhar gaya yaro

har ek aadmi kyun is qadar akela hai

mere nasib mein kab hai ye raushni ka nagar

mare liye to yahan har taraf andhera hai

jalae rakhna diye pyar ke main aaunga

mujhe tumhaari wafa par baDa bharosa hai

chamak uThe meri palkon pe yaad ke jugnu

ye kis ne pyar se phir aaj mujh ko dekha hai

kahan kahan main use DhunDhta raha 'faruq'

jo meri ruh ki gahraiyon mein rahta hai

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jali Hain Dard Ki ShaMein Magar Andhera Hai In English By Famous Poet Farooq Bakshi. Jali Hain Dard Ki ShaMein Magar Andhera Hai is written by Farooq Bakshi. Read famous Poem Jali Hain Dard Ki ShaMein Magar Andhera Hai for youth and Student by Farooq Bakshi. Free Download Jali Hain Dard Ki ShaMein Magar Andhera Hai in PDF.