Kaise In Sachche Jazbon Ki Ab Us Tak Tafhim Karun

kaise in sachche jazbon ki ab us tak tafhim karun

ruThne wala ghar aae to lafzon mein tarmim karun

mujh se bichhaD kar jaane wale itna to samjhata ja

apne aap ko do hisson mein kaise main taqsim karun

ahl-e-siyasat banT rahe hain jaan se pyare logon ko

main shair hun sach kahta hun kyun un ki tazim karun

wo bhi zamana-saz hua hai tum bhi Thik hi kahte ho

meri bhi majburi samjho kis dil se taslim karun

tujh se bichhaDna qismat mein tha jina to majburi hai

soch raha hun ujDe ghar ki phir se nai tazim karun

koshish to ki lakh magar kuchh baat nahin banti 'faruq'

soch raha hun sara manzar lafzon mein tajsim karun

(1000) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaise In Sachche Jazbon Ki Ab Us Tak Tafhim Karun In English By Famous Poet Farooq Bakshi. Kaise In Sachche Jazbon Ki Ab Us Tak Tafhim Karun is written by Farooq Bakshi. Read famous Poem Kaise In Sachche Jazbon Ki Ab Us Tak Tafhim Karun for youth and Student by Farooq Bakshi. Free Download Kaise In Sachche Jazbon Ki Ab Us Tak Tafhim Karun in PDF.