Tamam Shahr Mein Us Jaisa KHasta-haal Na Tha

tamam shahr mein us jaisa KHasta-haal na tha

magar wo shaKHs ki phir bhi koi malal na tha

ye aur baat main apni ana mein qaid raha

wagarna us ka pighalna to kuchh muhaal na tha

bichhaD gaya hai to ye kah ke dil ko bahlaun

wajud us ka mere haq mein nek-fal na tha

samajh raha tha muhafiz jise main barson se

mujhi ko qatl karega ye ehtimal na tha

simaT gai hai sabhi ke KHulus ki chadar

ye jazba pahle to is darja paemal na tha

KHamosh sunte rahe sab amir-e-shahr ka hukm

kisi ke lab pe koi harf-e-ishtial na tha

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Shahr Mein Us Jaisa KHasta-haal Na Tha In English By Famous Poet Farooq Bakshi. Tamam Shahr Mein Us Jaisa KHasta-haal Na Tha is written by Farooq Bakshi. Read famous Poem Tamam Shahr Mein Us Jaisa KHasta-haal Na Tha for youth and Student by Farooq Bakshi. Free Download Tamam Shahr Mein Us Jaisa KHasta-haal Na Tha in PDF.