Reza Reza Sa Bhala Mujh Mein Bikharta Kya He

reza reza sa bhala mujh mein bikharta kya he

ab tera gham bhi nahin hai to ye qissa kya hai

kyun saja leta hai palkon pe ye ashkon ke charagh

ai hawa kuchh to bata phul se rishta kya he

us ne manga hai duaon mein KHuda se mujh ko

aur main chup hun bhala us ne bhi manga kya hai

sher-goi se kahin masale hal hote hain

jaante hum bhi hain in baaton mein rakkha kya hai

waqt jismon ko kamanon mein badal deta he

koi samjha do use KHud ko samajhta kya hai

KHud samajh jaoge hathon ki lakiren 'faruq'

us ki aankhon mein paDho ghaur se likkha kya hai

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Reza Reza Sa Bhala Mujh Mein Bikharta Kya He In English By Famous Poet Farooq Bakshi. Reza Reza Sa Bhala Mujh Mein Bikharta Kya He is written by Farooq Bakshi. Read famous Poem Reza Reza Sa Bhala Mujh Mein Bikharta Kya He for youth and Student by Farooq Bakshi. Free Download Reza Reza Sa Bhala Mujh Mein Bikharta Kya He in PDF.