Wo Na Aaega Yahan Wo Nahin Aane Wala

wo na aaega yahan wo nahin aane wala

mujh ko tanhai ka ehsas dilane wala

kya KHabar thi ki taras jaega tabiron ko

apni aankhon mein tere KHwab sajaane wala

apni tadbir ke anjam se na-waqif hai

haal taqdir ka auron ko batane wala

meri rag rag mein lahu ban ke rawan ho jaise

mere sae se bhi daman ko bachane wala

kaamyabi se bahar-haal KHushi hoti hai

hans raha hai mujhe diwana banane wala

bazm ki aur hai tanhai ki duniya kuchh aur

raat bhar rota raha din mein hansane wala

hama-tan gosh bana deta hai mujh ko 'faruq'

us ki baaton ka wo andaz lubhane wala

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Na Aaega Yahan Wo Nahin Aane Wala In English By Famous Poet Farooq Bakshi. Wo Na Aaega Yahan Wo Nahin Aane Wala is written by Farooq Bakshi. Read famous Poem Wo Na Aaega Yahan Wo Nahin Aane Wala for youth and Student by Farooq Bakshi. Free Download Wo Na Aaega Yahan Wo Nahin Aane Wala in PDF.