Wo Basti Yaad Aati Hai

wo basti yaad aati hai

wo chehre yaad aate hain

wahan guzra hua

ek ek pal yun jagmagata hai

andheri raat mein unche kalas

mandir ke jaise jhilmilate hain

wahan basti ke us kone mein

wo chhoTi si ek masjid

ki jis ke sahn mein

mere ajdad ki peshaniyon ke hain nishan ab tak

usi ke pas thoDi dur par bahti hui ganga

mujhe ab bhi bulati hai

wo ganga jis ka pani

meri rag rag mein bahta hai

lahu ban kar humakta hai

mujhe ab bhi bulata hai

agar mano to wo man hai

na mano to faqat bahta hua pani hai

dariya hai

mujhe ab bhi bulata hai

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Basti Yaad Aati Hai In English By Famous Poet Farooq Bakshi. Wo Basti Yaad Aati Hai is written by Farooq Bakshi. Read famous Poem Wo Basti Yaad Aati Hai for youth and Student by Farooq Bakshi. Free Download Wo Basti Yaad Aati Hai in PDF.