Dil-e-iza-talab Le Tera Kahna Kar Liya Maine

dil-e-iza-talab le tera kahna kar liya main ne

kisi ke hijr mein jina gawara kar liya main ne

but-e-paiman-shikan se intiqaman hi sahi lekin

sitam hai wada-e-tark-e-tamanna kar liya main ne

niyaz-e-ishq ko surat na jab koi nazar aai

junun-e-bandagi mein KHud ko sajda kar liya main ne

wafa-na-ashna is sadgi ki dad de mujh ko

samajh kar teri baaton par bharosa kar liya main ne

mohabbat be-baha shai hai magar taqdir achchhi thi

mata-e-do-jahan de kar ye sauda kar liya main ne

mila to did ka mauqa magar ghairat ko kya kahiye

jab aai wadi-e-aiman to parda kar liya main ne

baDi daulat hai haq ke nam par daulat luTa dena

jahan mein phunk kar chandni ko sona kar liya main ne

kisi ke ek dard-e-bandagi se kya mili fursat

ki dil mein sau tarah ka dard paida kar liya main ne

tamasha dekhte hi dekhte un ki adaon ka

sar-e-mahfil KHud apne ko tamasha kar liya main ne

kisi ki rah mein 'faruq' barbaad-e-wafa ho kar

bura kya hai ki apne haq mein achchha kar liya main ne

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-iza-talab Le Tera Kahna Kar Liya Maine In English By Famous Poet Farooq Banspari. Dil-e-iza-talab Le Tera Kahna Kar Liya Maine is written by Farooq Banspari. Read famous Poem Dil-e-iza-talab Le Tera Kahna Kar Liya Maine for youth and Student by Farooq Banspari. Free Download Dil-e-iza-talab Le Tera Kahna Kar Liya Maine in PDF.