Kabhi Be-niyaz-e-maKHzan Kabhi Dushman-e-kinara

kabhi be-niyaz-e-maKHzan kabhi dushman-e-kinara

kahin tujh ko le na Dube teri zindagi ka dhaara

meri quwwat-e-nazar ka kai ruKH se imtihan hai

kabhi uzr-e-lan-tarani kabhi dawat-e-nazara

gham-e-ishq hi ne kaTi gham-e-ishq ki musibat

isi mauj ne Duboya isi mauj ne ubhaara

tere gham ki parda-poshi jo isi ki muqtazi hai

to qasam hai tere gham ki mujhe har KHushi gawara

dam-e-subh-e-nau-bahaaran jo kali chaman mein chaTki

to guman hua ki jaise mujhe aap ne pukara

mere naKHuda na ghabra ye nazar hai apni apni

tere samne hai tufan mere samne kinara

meri kashti-e-tamanna kabhi KHushkiyon mein Dubi

kabhi bahr-e-gham ka tinka mujhe de gaya sahaara

tera haq bhi sar ba-zanu mera kufr bhi pashiman

mujhe aagahi ne luTa tujhe ghaflaton ne mara

ye karam ye mehrbani teri 'faruq'-e-hazin par

ye gila hai kyun na baKHsha mujhe shukriye ka yara

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Be-niyaz-e-maKHzan Kabhi Dushman-e-kinara In English By Famous Poet Farooq Banspari. Kabhi Be-niyaz-e-maKHzan Kabhi Dushman-e-kinara is written by Farooq Banspari. Read famous Poem Kabhi Be-niyaz-e-maKHzan Kabhi Dushman-e-kinara for youth and Student by Farooq Banspari. Free Download Kabhi Be-niyaz-e-maKHzan Kabhi Dushman-e-kinara in PDF.