Kohsar Ka KHugar Hai Na Paband-e-gulistan

kohsar ka KHugar hai na paband-e-gulistan

aazad hai har qaid-e-maqami se musalman

ghar kunj-e-qafas ko bhi bana leti hai bulbul

shahin ki nigahon mein nasheman bhi hai zindan

allah ke bandon ki hai duniya hi nirali

kanTe koi bota hai to ugte hain gulistan

kah do ye qayamat se dabe panw guzar jae

kuchh soch raha hai abhi bhaarat ka musalman

ai shaiKH-e-haram aaj tera faisla kya hai

saf-bandi-e-masjid ki saf-arai-e-maidan

sine mein shikam le ke ubharti hain jo qaumen

ban jati hain aaKHir mein KHud aazuqa-e-dauran

chalti hui ek baat hai na-mo'tabar ek chiz

na-ahl ki daulat ho ki nadar ka iman

mulla ka ye fatwa hai ki 'faruq' hai mulhid

ai din-e-mohammad tera allah nigah-ban

(736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kohsar Ka KHugar Hai Na Paband-e-gulistan In English By Famous Poet Farooq Banspari. Kohsar Ka KHugar Hai Na Paband-e-gulistan is written by Farooq Banspari. Read famous Poem Kohsar Ka KHugar Hai Na Paband-e-gulistan for youth and Student by Farooq Banspari. Free Download Kohsar Ka KHugar Hai Na Paband-e-gulistan in PDF.