Tumhaare Qasre-azadi Ke Memaron Ne Kya Paya

tumhaare qasre-azadi ke memaron ne kya paya

jahan-bazon ki ban aai jahan-karon ne kya paya

sitaron se shab-e-gham ka to daman jagmaga uTha

magar aansu baha kar hijr ke maron ne kya paya

naqib-e-ahd-e-zarrin sirf itna mujh ko batla de

tulu-e-subh-e-nau bar-haq magar taron ne kya paya

junun ki baat chhoDo is gae ghar ka Thikana kya

fareb-e-aql o hikmat ke parastaron ne kya paya

sar-afraazi mili ahl-e-hawas ki parsai ko

magar teri mohabbat ke gunahgaron ne kya paya

khilaune de diye kuchh aap ne dast-e-tamanna mein

ba-juz dagh-e-jigar aaina-bardaron ne kya paya

mili sar phoDte hi qaid-e-hasti se bhi aazadi

rukawaT Dal kar zindan ki diwaron ne kya paya

hamare samne hi baiTh kar 'faruq' masnad par

hamin se puchhte ho phir ki ghaddaron ne kya paya

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Qasre-azadi Ke Memaron Ne Kya Paya In English By Famous Poet Farooq Banspari. Tumhaare Qasre-azadi Ke Memaron Ne Kya Paya is written by Farooq Banspari. Read famous Poem Tumhaare Qasre-azadi Ke Memaron Ne Kya Paya for youth and Student by Farooq Banspari. Free Download Tumhaare Qasre-azadi Ke Memaron Ne Kya Paya in PDF.